حضرت ابن سیرین رحمت اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ خواب میں حلو ہ یسا مال ہے جو بادشاہ کے ہاتھ پر گزرکر حرام ہو چکا ہے۔ حضرت جعفر صادق رحمت اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ خواب میں حلوہ بہت سا مال اور دین خالص ہے اور حلوے کا ایک لقمہ خواب میں فرزند کو بوسہ دیتا ہے اور میوہ جات والے حلوے کا ایک نوالہ اچھا ہے اور جس حلوے میں کہ مغز بادام یا مغز اخروٹ ہے اس کی تاویل منفعت ہےجو اس کو بخیل سے پہنچے گی ۔
حضرت جابر مغربی رحمت اللہ علیہ نے فرمایا ہے خواب میں حلوہ کرنا دلیل ہے کہ اس قدر مال حلال اور حلال روزی پاۓ گا اور اگر دیکھے کہ اس
میں زعفران تو ہے یہ بھی بہتری کی دلیل ہے اور خواب میں حلوا فروش آ دمی شیریں سخن مرد ہے ۔
hazrat Ibn sereen rehmat Allah alaihi ne farmaya hai ke khawab mein halwa aysa maal hai jo badshah ke haath par guzar kar haraam ho chuka hai. hazrat Jaffer Sadiq rehmat Allah alaihi ne farmaya hai ke khawab mein halwa bohat sa maal aur deen khalis hai aur halwe ka aik luqmah khawab mein Farzand ko bosa deta hai aur mewa jaat walay halwe ka aik niwala acha hai aur jis halwe mein ke maghaz badam ya maghaz akhrot hai is ki taweel Manfiqat hai jo is ko bakheel se puhanche gi
hazrat jabir maghribi rehmat Allah alaihi ne farmaya hai khawab mein halwa karna Daleel hai ke is qader maal halal aur halal rozi paye ga aur agar dekhe ke is
mein zafran hai to yeh bhi behtari ki Daleel hai aur khawab mein halwa farosh adami sheree sukhan mard hai
0 تبصرے